https://www.videosprofitnetwork.com/watch.xml?key=4fe5b29daf30eedbf2a3b681d2680260 150 Best Parents Quotes in Urdu - Monuji entertainment

150 Best Parents Quotes in Urdu



Parents are blessings of ALLAH Almighty. They decide the future of their child and also take responsibility of every need of their child. We have collected some of best parents quotes in Urdu and we hope you will like our efforts.150 Best Parents Quotes in Urdu
Don't blame your parents for things they are not able to provide you, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Maa baap sy kabhi shikwa na krna k inhon ny apko kia diya shayed un k pas bhi sari zindagi sirf yhi tha.
No matter how far we go, we can't forget our parents, Parents Quotes in Urdu.

Parents quotes in Urdu:-

Hum chahy jahan bhi hon, kitni bhi door chly jayein hmary maa baap hamesha hamary pas hoty hein. Unki yadein hamesha hamary sath hoti hein. Parents quotes in Urdu, Urdu Quotes.
There is nothing like parents in this world, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Behtreen maa baap sy barh kr koi cheez nhi, lehaza aik achy waldain banny ki koshish krein. Ta k apki olaad ko ap per fakhar ho.
Help your parents as much as you can in every possible way, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Apny maa baap ki khoob khidmat krein inhein piyar krein aur unky sath waqt guzarein warna, tumhein aik din ehsaas hoga jab unki kursi to hogi leikin wo khud nhi hon gy.
Make your parents smile, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Dunya ki sab sy qeemti khushi wo hoti hai jab tumhary waldain tumhari waja sy muskara rhy hoty hein.
We only feel love of parents when we ourselves become parent, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Hmein Maa baap ki muhabbat ka andaza tab tak nhi hota jab tak hum khud waldain na ban jayein. Father Quotes in Urdu.
Don't forget your parents, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Apny maa baap sy mohabbat krein hum jawaan hony mein itny masroof hoty hein aur bhool jaty hein k hmary maa baap boorhy ho rhy hein.
If you can't respect your parents then you can't respect others also, family Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Jo insan apny maa baap ki izzat nhi krta wo kbhi kisi aur ki bhi izzat nhi kr ga. Allah hmein apny maa baap ki izzat krny ki tofeeq ata farmaye.
Parents love is the only true love, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Waldain ka piyar hi sachaa piyar hota hai. Baki sab piyar to sirf aur sirf matlab ki khatir hoty hein.
Don't abuse your parents, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Logon ko khush krny k liye apny maa baap ko mat jhirko ku k tumhy jawan tery maa baap ny kia hai logon ny nhi.
Don't say to them, just do what you want your children to do, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Apny bachon ko achi naseehat nhi achy amal kr k dekhao ku k wo tumhari baton ko nhi balky jo tum krty ho usko apnaein gy.
Every move of parents teach something to their children, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Waldain bachon k liye bunyadi aur ahum seekhny ka zariya hoty hein. Waldain ka her lafz, harkat aur amal bachon ko mutaser krta hai.
To be a parent is very big responsibility, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Waldain hona is dunya ki mushkil treen zimma dari hai, ku k aap aik dosry insan ki jismani, jazbati aur zehni nashunuma k zimma dar hoty hein.
Your Father is the only person who wants you to succeed more than himself, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Yakeen krein baap dunya ka wahid shakhs hai jo khud sy bhi ziyada apko kamyaab dekhna chahta hai.
Mother and Father are two  only loving person, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Maa zindagi ki tareek rahon mein roshni ka minaar hai, aur baap thokron sy bchany wala mazboot sahara hai.
Parents rights on children, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Tumhary waldain tumhy bachpan mein shehzadon ki tarah palty hein, lehaza tumhara farz banta hai k unky burhaapy mein unko badshah ki rakho.
A Advice to parents, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Jis bachy ka mazaaq uraya jata hai wo buzdil ho jata hai, jis bachy per aitbaar nhi kiya jata ho wo dhoka dena sekhta hai, jis bachy per tanqeed ki jati hai wo koshish krna chor deta hai.
Father is like bodyguard of the family, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Baap ki mojudgi sooraj ki manind hoti hai sooraj garam zaroor hota hai, magar sooraj na ho to andhera sha jata hai.
No one can love more than mother, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Maa sy ziyada koi olaad ko piyar nhi kr skta, aur baap sy ziyada koi olaad ka khiyal nhi rakh skta.
Aqwal about Parents in Urdu, Urdu Quotes

Aqwal about Parents in Urdu:-

Apny waldain sy hum kalaam raho yoon wo boorhy bhi jawan rehty hein. Apny maa baap ko kabhi nazar mat krein. Aqwal about Parents in Urdu.
Parents Urdu Quotes, Urdu Quotes

Translation & Overview in Urdu:-

Sookhi shri sy bhi baddter hai wo olaad jo burhaapy mein waldain ka sahara na bny. Allah Pak hamein apny waldain ka sahara banny ki tofeeq ata farmye.
parents quotes in Urdu

Translation & Overview in Urdu:-

Boorha hogya hon mein thora waqt dy dia kr beth kr do char hi sahi per mjh sy batein kia kr, too hi meri lathi hai, too hi meri roshni hai, mer jaon ga aik din sahib kuch lamhy mery liye bhi rakha kr.
Father is the most powerful man the family, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Agr baap ka hath kandhon per ho to insan apny aap ko dunya ka taqatwer treen insan smjhta hai.
father respect quote, Father Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Baap ka ehtram kro, uski izzat kro, hukam mano, uski skhti berdasht kro, uski batein gor sy suno, us k samny oncha na bolo, uske samny nazrein jhuka kr rakho. Bap aik kitaab hai. Baap aik muqaddas muhafiz hai.
Father is the pillar of the Family, Parents Quotes in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Baap chahy kitna hi boorha ku na ho, Baap ghr ka sab sy mazboot satoon hota hai. Baap hi ghr ki ronaq hoty hein.
Father quotes, Urdu Quotes.

Translation & Overview in Urdu:-

Baap ki zindagi tajerbaat ki khuli kitaab hai, us k aik aik safhy sy istifada kro. Baap ki baton ko gor sy sunna chahiye. Quotes about Maa Baap in Urdu to get motivated and respectful toward your parents.
Father quotes, Urdu Quotes.

Translation & Overview in Urdu:-

Maa baap k sath tumhara salook aesi kahani hai jo likhty tum ho laikin tumhari olaad tumhy parh kr sunati hai.
Father Love Quotation.

Translation & Overview in Urdu:-

kbhi waqt mily to apny maa baap k chehron ki taraf dekhna aap ko pta chly ga k wo aapka mustaqbil bnaty bnaty khud kitna toot chuky hein.
Father Motivational quote in Urdu

Translation & Overview in Urdu:-

Maa baap dunya mein sab sy bri naimat hein maa na ho to koi to dil ko dilasa deny wala koi nhi. Aur agr baap na ho to zindagi ki dor mein acha mashwra deny wala koi nhi hota.
father inspirational quote

Translation & Overview in Urdu:-

Ay mery Allah mery maa baap per wesy hi reham farma jaisy inhon ny bachpan mein meri perwarish ki.
Father Quote in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Aik beta apny boorhy baap ko yateem khany chor kr ghar lot rha tha uski biwi ny ye yakeeni bnany k liye phone kia k walid tehwaar wagera ki chutti mein bhi whein rahein ghar na chly aya krein.
Old Mother Quote in Urdu

Translation & Overview in Urdu:-

Waaldain Jaant k darwazy hein band hony sy pehly pehly jitna bhi tum faida unki khidmat kr k utha skty ho utha lo. Maa quotes in Urdu.
Mother Respect Quote in Urdu.

Translation & Overview in Urdu:-

Sab sy bura waqt wo hai jab tumhary gussay k khof sy tumhary maa baap apni zroorat aur naseehat bayan krna chor dein.
father sad quote

Translation & Overview in Urdu:-

Maa baap per zulam krny waly aur unko galiyan deny walyon ko tum dunya hi mein jahannum sy badter zindagi guzaarty dekho gy.
father respect quotes.

Translation & Overview in Urdu:-

Maa ki khidmat sy jannat to mil jati hai per uska darwaza us waqt khulta jab baap ki izzat ki jaye.
Mother and father rights quote.

Translation & Overview in Urdu:-

Maa baap ki dil o jan sy izzat kro, unkysath hussan e sulook ka muamla kro, shariat k daery mein rehty hoye unki ataat kro, unky ehsanaat aur kawishon ki qader dani kro.
father advice quote

Translation & Overview in Urdu:-

Tumhari olaad wo nhi seekhy ge jo tum kehty ho balky wo kry ge jo tum log khud krty rhy ho. Maa make great sacrifices for the care and safety of their children.

No comments

Powered by Blogger.