100 Famous Aqwal e Zareen in Urdu
Aqwal e Zareen is a Urdu word, which means wise saying or quote made by famous personality or by a nation. In Pakistan use of quotes or sayings is very popular. We have collected some of the best and famous quotes said by wise people. Aqwal e Zareen in Urdu language collected from different sources.
Download
Degree to mahaz taleemi akhrajaat ki raseed hoti hai. Ilam to insaan ki guftgu aur amal se zahir hota hai.
Aqwal e Zareen in Urdu:-
Alfaaz hi sab kuch hoty hein. Dil jeet bhi lety hein aur dil cheer bhi dety hein. Aqwal e Zareen in Urdu.
Jo ibadat ikhlaak aur kirdar par asar andaaz na ho saky uss ibadat se siway mushk,kat k kuch hasil nahi hota.
Dunia k sabhi loog khubsurat hoty hein. Bd-sorti to hamary rawayyon aur soch mein hai.
Ikhlaak aik dukaan hai aur zubaab uska tala hai. Tala khulta hai to maloom hota hai keh dukaan sony ki hai ya koily ki.
Mein jesy jesy logoon se milta gaya. Mera emaan bhi mazboot hota gia keh ikhlaak bhi rizk hai. Jo kismat waloon ko hi milta hai.
Khubsorti ki kami ko ikhlaak se pura ki ja sakta hia. Magar ikhlaak ki kami ko khubsorti pura nahi kar sakti.
Aqwal e Zareen Urdu:-
ALLAH ko ibadat se, aur makhlook ko apny ikhlaak se razi kro. Dunia aur akhrat dono mein khush raho gy. Aqwal e Zareen Urdu.
Khubsorat chehra bhi bodha ho jata hai. Aur aik din purkashish jisam bhi dhal jata hai. Lekin aik acha insaan hamesha acha insaan hi rehta hai.
Khush ikhlaaki aik aesi khushbu hai. Jo meloon duur se mehsoos ki ja sakti hai.
Dunia k har medaan mein har jeet hoti hai. Lekin ikhlaak mein kabhi har aur takabbar mein kabhi jeet nahi ho sakti.
Dillo,n mein utarny k liye sedhion ki nahi balky Achy ikhlaak ki zrurat hoti hai.
Behtareen loog woh hoty hien. Jo zindagi ki talkhio ki waja se talakh nahi hoty. Balky har wakat hansy aur muskuraty rehty hein. Zindagi aesy hi logoon ki waja se khubsurat aur jeny k kabil hai.
Achy insaan k sath achy raho lekin buray k liye buray mat bano. Kuu keh tum pani se khoon saaf kar sakty ho lekin khoon se khoon saaf nahi kar sakty.
Aqwal e Zareen in Urdu:-
Khush ikhlaaq logoon se khush ikhlaaki se pesh ana koi kamal nahi. Balky bd-kihlaak logoon se khush ikhlaaki se pesh ana kamaal hai. Aqwal e Zareen in Urdu.
Bolna sab ko ata hai, bs kisi ka dimaag bolta hai, kisi ka ikhlaak bolta hai aur kisi ki zubaan.
No comments